Episode 2 Part 3

10:44 AM
Abhi blushes a little…

Saluke – “kyun bhai main jhooth bol raha hoon kya? Kyun Tarika?”

Tarika never saw this coming… and she got a little scared at first…

Tarika – “sir aap mujhse kyun pooch rahe hain? Waise Abhijeet itna bhi nahi aate the…”

Abhi knew this was his chance… and well he hadn’t still left flirting completely…

Abhi – “dekha Doctor saab, aap toh bas aise hi kehte hain. Tarika ne kaha na main itna bhi nahi aata tha.”
Saluke – “haan bhai, Tarika ne kaha hai toh aisa hi hoga. Suna Shruti?”

Everyone turned to see Shruti. She stood silently all through this but laughing her stomach out. Abhi saw her laughing and smiled…

Freddie – “Shruti aapko kya hua?”
Shruti – “Freddie aapko pata hai, maine Abhijeet ko kabhi flirt karte nahi dekha. Aaj pata chala kyun…”
Freddie – “kyun?”
Shruti – “kyunki Abhijeet ko flirt karna nahi aata.”

And everyone laughed out loud… including Abhi himself…

Saluke – “acha ab kaam ki baat karte hain. Is ladki ki maut toh goli lagne se hi hui hai par iss ladki ke khoon mein drugs mile hue hain.”
Daya – “Kya? Nisha… yani Lata drugs leti thi?”
Saluke – “Haan. Ye lagbhag ek mahine se drugs le rahi hai. Aaj bhi usne drugs liye. Aur jaananewali baat ye hai ki Lata roz pehle se zyada drugs le rahi thi.”
Shruti – “yani koi Lata ko drugs ki lat lagwa raha tha aur agar Lata aaj na marti toh ek din drug overdose se mar jaati?”
Saluke – “bilkul sahi. Arre wah Shruti… ek kaam karo Dr Tarika ko CID mein bhej dete hain aur tum yahan aa jao. Yahan ka kaam tum jald hi seekh jaogi aur wahan Abhijeet toh hai na.”
Freddie – “par phir yahan aakar Abhijeet sir flirt kisse karenge?”
Abhi – “Freddie?”

And everyone burst laughing again…

In the office,
Richa sat on the chair and everyone stood beside her… except Abhi and Daya… they weren’t in the room.

ACP – “Richa dekho sach sach batao. Lata ek mahine se drugs ke rahi thi.”
Richa – “sir mujhe sach mein nahi pata. Lata ne mujhe nahi bataya aur na maine usse kabhi drugs lete dekha.”
Kaveri – “sir ye khoon bhi toh ek mahine pehle hone hi shuru hue hain.”
ACP – “haan…”
Kaveri – “Pehla khoon hua tha 29 April ko, doosra 6 May aur teesra 13 May. Aur teeno din hi Wenesday tha.”
ACP – “Richa in teeno dino mein koi khaas baat?”
Richa – “sir Lata ka toh Wednesday ko off hota tha. Wohh aksar Wednesday ko Sahil se milne jaati thi.”
ACP – “Sahil kaun hai?

Just then Abhi enters…

Abhi – “sir Sahil Lata ka mangetar tha.”
Richa – “tha matlab?”
Abhi – “Sahil ne ek mahine pehle Lata se sagayi tod di.”
Richa – “kya? Ho nahi sakta. Lata toh roz mere saamne Sahil se baat karti thi.”
ACP – “par Sahil ne sagai kyun todi?”
Abhi – “sir Sahil ka kehna hai ki Lata kuch galat logoin ke saath mil gayi thi.”
Lavanya – “sir kahin Lata in khoono mein shamil toh nahi, aur usse chup karwane ke liye uska khoon hua?”
ACP – “ho sakta hai. Aur Lata ke ma – baap?”
Abhi – “Lata ne unse bhi kai din se baat nahi ki.”
ACP – “is ladki mein kuch toh gadbad hai. Vivek Lata ka mobile number lo aur mobile company se pata karo ki pichle ek mahine mein Lata ne kin kin logoin se baat kari hai.”

Then Abhi gets a call… it was Daya and Daya asked Abhi to come alone to a bar. Daya also asked Abhi not to tell this to anyone. Daya sounded tired and a little nervous and Abhi said he will be there…

ACP – “kiska phone tha?”
Abhi – “sir wohh D… Daya ke informer ka.”
ACP – “kya hua?”
Abhi – “sir Daya ne kuch information maangi thi par abhi Daya ka phone nahi lag raha isiliye usne mujhe bulaya hai.”
ACP – “theek hai, tum aur Vivek chale jao.”
Abhi – “nahi sir ye thoda teda aadmi hai. Isne bola akele aana aur agar koi aur gaya toh shayad ye kuch bhi batane se inkar kar de.”
ACP – “theek hai.”

Saying so, ACP raises an eyebrow and he doesn’t trust Abhi enough. Abhi walks out and Shruti sees that no one is watching and so she goes after him…

Shruti – “Abhi kahan ja rahe ho?”
Abhi – “Bola toh informer ke paas.”
Shruti – “maine poocha kahan jaa rahe ho? Kisse milne nahi.”
Abhi – “Shruti mujhe abhi der ho rahi hai, main tumhe wahan se phone karunga.”
Shruti – “jab jhooth bolna nahi aata toh kyun koshish karte ho?”
Abhi – “matlab?”
Shruti – “Daya ka phone than na?”
Abhi – “tumhe kaise pata?”

Shruti takes her phone out and shows Abhi a message. It was from Daya as well… It read –

Shruti,
Main abhi nahi aa sakta. Yahan kuch gadbad hai. Abhijeet se kehna mujhse jald se jald baat kare. Uska phone nahi lag raha.

Shruti – “aap yahan the hi nahi, kise batati?”

Abhi smiles, nods and then leaves.

Abhi goes to Axis Bar and Restaurant, where Daya had called him. There Daya was waiting for Abhi with another man. Abhi goes and joins them.

Daya – “kisi ko pata toh nahi ki tum mujhse milne aaye ho?”
Abhi – “nahi, maine kaha tumhare informer ka phone hai. Par baat kya hai Daya?”
Daya – “Kisto ka kisi ne khoon kar diya.”
Abhi – “matlab tumhare informer ka?”
Daya – “haan Abhijeet. Maine usse Lata ke ghar waloin ke bare mein pata karne ko kaha tha. Aur ye Murli hai, Kisto ka dost. Isne bola shaam ko wohh apne ghar mein mara hua mila.”
Abhi – “dekha usko?”
Daya – “haan Police thi wahan. Alcohol overdose se mar gaya.”
Abhi – “Murli Kisto ne kuch bataya?”
Murli – “saab Kisto toh subah subah chala gaya tha. Din bhar kisi ne usse nahi dekha. Shaam ko jab uski behen ghar aayi, toh dekha wohh mara pada hai. Maine fat se Daya saab ko phone kar diya.”
Abhi – “tumhe pata hai Kisto gaya kahan tha?”
Murli – “nahi saab. Wohh apne ko har jagah nahi lekar jaata tha. Par saab Kisto ko pakka kisi ne pakda tha. Kisto toh sharab nahi peeta tha. Uski behen Kajri ne usse ek din bahut jhagda kiya tha. Tab se usne daru ko haath ich nahi lagaya.”
Daya – “boss koi hai jo nahi chahta ki Lata ke ghar waloin ke bare mein hume pata chale.”
Abhi – “chalo hum hi chalte hain Lata ke ghar.”

Abhi and Daya are waiting in front of a bungow when everyone else come.

Daya – “sir ye Lata ke parents ka ghar hai.”
ACP – “wohh hain andar?”
Daya – “ji”
ACP – “chalo phir.”

Inside the house… there was an old man, an old lady, a teenage girl and a tall handsome dude. The old couple was crying bitterly and very tensed. The girl took care of the lady and the guy of the man…

ACP – “Dekhiye Sharma ji, hume jo kuch hua uska dukh hai. Par agar aap iss waqt humari madad kar dein toh hum pata kar sakte hain ki aapki ladki ko kisne maara.”
The guy – “sir aap mind na karein toh main aapke sawaloin ka jawab de doon? Papa iss waqt shayad jawab na de paaye.”
ACP – “Aap kaun?”
Sahil – “sir main Sahil Wadhwa, Lata ka fiancée.”

ACP looks at everyone…

ACP – “Sahil tumne toh Lata se mangni tod de thee na. Kyun?
Sahil – “sir Lata kisi galat kaam mein phas gayi thi. Maine usse bahut poocha ki agar koi pareshani hai toh mujhe bata de par usne kabhi nahi bataya. Ek din papa ne Lata ko nashe ki halat mein ghar aate dekha. Nashe mein wohh kuch bol bhi rahi thi… kisi khoon ke bare mein. Tab papa ne hi kaha ki ab umeed karna bekaar hai.”
Sharma aunty – “sir meri ladki aisi nahi thi. Usse zaroor kisi ne phasaya tha.”

And saying so she starts crying horridly… ACP asks the girls to take care of her and the 3 lady cops take her aside…

ACP – “aur aap kaun hain?” (to the girl)
Girl – “sir main Urmila, Lata ki choti behen.”
ACP – “Urmila, Lata ne tumhe kabhi kuch bataya.”
Urmila – “sir didi mujhe apni saari baatein batati thi. Par ek din achanak wohh bahut darri hui lag rahi thi. Us din se unhone mujhse kabhi theek se baat nahi ki. Shaam ko der se aati aur so jaati.”
ACP – “par kuch toh hua hoga us din?”
Urmila – “pata nahi sir. Par haan didi diary likhti thi… ho sakta hai usmein ho.”
Sahil – “kya? Lata diary likhti thi? Tumne bataya kyun nahi Urmila? Hum pehle pata kar sakte the ki usse kya baat sata rahi hai.”
Urmila – “wohh diary yahan nahi hai. Didi ke jaane ke baad, maine har jagah dhoondi. Kuch bhi nahi hai.”
ACP – “sharma ji, agar aapko aitraaz na ho, toh kya hum ghar ki talaashi le sakte hain?”

No comments:

Powered by Blogger.